Twinkle twinkle little star
* People, silences, openness and more is what I recall Mizoram for, and never stars, Recent trip was special, starry nights with a few shooting stars, * Taare * Kaee saal baad kal tare dekhe Aur gine Kaafi maaza aayee * Aise timtimaate hain who Jaise koi kywab ya khayal Vahin hain phir bhi nahin hain Door hain lekin pyare hain * Taare ~ hain lekin kabhi kabhi dikhte nahin Aur kaabhi mano jagah badal lete hain Jaise sach ~ ek se jyada bhi ho sakte hai Aur samay ke saath badal bhi jaata hai * Har tare ki agar ek pehchaan hoti Agar tare humse batein karte, humko kahaaniyaan sunaate To shayad humare gharon me chatein nahin hoti * Recalled some star full and some star less nights in Rajasthan Nadi kinare li gayee is tasveer me jaise akela sa chaand taaron ko dhoondh raha hai * And a lovely song ( Anand Bakshi wrote ) Nagmein hain Shikve hain Kisse hain Baat...