Twinkle twinkle little star
*
People,
silences, openness and more is what I recall Mizoram for, and never stars,
Recent
trip was special, starry nights with a few shooting stars,
*
Taare
*
Kaee saal baad kal tare dekhe
Aur gine
Kaafi maaza aayee
*
Aise timtimaate hain who
Jaise koi kywab ya khayal
Vahin hain phir bhi nahin hain
Door hain lekin pyare hain
*
Taare ~ hain lekin kabhi kabhi dikhte nahin
Aur kaabhi mano jagah badal lete hain
Jaise sach ~ ek se jyada bhi ho sakte hai
Aur samay ke saath badal bhi jaata hai
*
Har tare ki agar ek pehchaan hoti
Agar tare humse batein karte, humko kahaaniyaan sunaate
To shayad humare gharon me chatein nahin hoti
*
Recalled some star full and some star less
nights in Rajasthan
Nadi kinare li gayee is tasveer me jaise
akela sa chaand taaron ko dhoondh raha hai
*
And a lovely song
(Anand Bakshi wrote)
Nagmein hain
Shikve hain
Kisse hain
Baate hain
(I, with due respects, take the liberty to add)
Taare hain
*
Comments
Post a Comment